My Poetry
     
Home

Photos

Poetry

Guest Book

Contact 

 

Jab Say Main Nay Dekha Chand

jab say main nay dekha chand

sonay hi naheen deta chand

la mahdood sitaron mein bhi

kis qadar hay tanha chand

badal usay libada deh dein

joban pe jo nikla chand

saari raat hi bheeg gai

aysa khul k roya chand

wo bhi kohar alood shab thi

aaj bhi hay aadha chand

rooh tak kheera ho gai

haath mein le betha chand

raat bhi dhalna bhool gai

dekha jo sundar sa chaand


Do Shair

Dhoop bhi chaon lagi hay,aaj tere shaher mein

zindagi mein dilkashi hay,aaj tere shaher mein

chaand aor taare bhi hain, shabnami hain phool bhi

ayk bas teri kami hay, aaj tere shaher mein

  Chanda say kabhi Baatein

chanda say kabhi baatien, sitaaron say kabhi kehna

tri chaahat ki soghaatein, sitaaron say kabhi kehna

usay kehna k baarish mein ziyaada deir na bheegay

sataein gi yeh barsaatein, sitaaron say kabhi kehna

bohat naraaz rehti hain mujh say yeh aksar

saawan ki ghata raatein, sitaaron say kabhi kehna

itni qurbatein kaheen beyzaar na ker dein

thori karo mulaqaatein, sitaaron say kabhi kehna

un k bakhair bari gumnaam si lagi hain

eedein aor shabraateoin, sitaaron say kabhi kehna

Yaadon k Diye

yadon k diye jalana, shaam say zara pehle

shaam ko tum bhool jana, shaam say zara pehle

intezaar e shab to qarb hay, is liye janan!

ghar waapis lot aana, shaam say zara pehlay

anjaani rah mein roshni darkaar hoti hay

lumbay safar pe na jaana, shaam say zara pehlay

shab ki teergi mein mujhay yaad ker lena magar

palkon pe taare na sjaana, shaam say zara pehlay

namaz e shaam perne ka sawab mil jay ga

rote bachay konhansaana, shaam say zara pehlay

Wasal ki BayZarar Dua

wasal ki bay zarar dua say dar lagta hay

mujhay har waqt izhaar e wafa say dar lagta hay

mri khamoshian kaheen mujhay barbaad na ker dein

yahi soch ker apni haya say dar lagta hay

us ki tarah fareb to mein bhi deh sakta hoon

kia karoon, qanoon e khuda say dar lagta hay

is mein tri khushboo ka azaab chupa ho ga

ithlaati hui is baad e saba say dar lagta hay

jis say dar ho aankhon k benoor honay ka

aansoon k aysay daria say dar lagta hay

itna chaahney say woh befawa na ho jay

mujhay apni shidat e wafa say dar lagta hay

yeh zamaaneh bhar mein tujhay badnaam ker deh ga

moazam! tere ishq e bala say dar lagta hay


Baanhon Mein Simat Jaaneh

baanhon mein simt jaaneh ko dil chaahta hay

tere qareeb aaneh ko dil chaahta hay

tujh mein aisi kia kahsish, pata naheen mujhay

har pal tujhay bulaaneh ko dil chaahta hay

kaash! too bhi faqat keh de itna

mera is deewane ko dil chaahta hay

tri baanhon mein aa ker chaai madhoshi

sab dunia bhoolaaneh ko dil chahta hay

nasheeli yeh ghazlein, sheerein yeh lab hain

mra aaj gaaneh ko dil chaahta hay



Mere Shahar ki ik Larki

Mere Shahar ki ik Larki

Bohat Naazuk, bari Bholi

palkon pe khaab sajaane waali.............pyaar pe jaan lutaaneh waali

reit k mahal banaaneh waalli..............khud hi unhein mitaaneh waali

mere shahar ki ik larki......bohat nazuk bari bholi

wird piya ka kerne waali......chahat ka dam bharne waali

piar mein jag say lerne waali.....khud say lykin darne waali

mere shahar ki ik larki........bohat nazuk bari bholi

gum sum gum sum rehne waali....drd e mohabbat sehne waali

behr e jazban mein behney waali....Moazam say kuch kehney waali...

mere shahar ki ik larki.....bohat nazuk bari bholi